Tuesday, August 14, 2018

Multaji - Munajat



Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

Muddaton se ghum hi ghum hai zindagi ki raah me
hai faqat kaante hi kaante har khushi ki raah me
ghum se ghabrata hun maula waqt hai imdad ka


Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

meri aahon mere naalon me asar baaqi nahi
dum ulajhta hai mera ye be kali jaati nahi
aap ki nazre inayat chahiye mushkil kusha


Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

waaste me Mustafa (s.w.s.) ke ai shahe duldul sawar
daman e ummeed bhar do ai shahe aali wiqar
mangte hai bheek maula aap se shaho gada


Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

waste mein Sayyada (s.a.) ke bheek de do ya Ali(a.s.)
ye dua hai ab khila do dil ki bs murda kali
daman e ummeed bhar do ai mere hajat rawa


Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

Behre shahe karbala (a.s.) mujh ko sahara dijiye
chin gaya hai jo sukune dil dobara dijiye
be sahare ko sahara dijiye behre khuda


Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

un kate haathon ka sadqa Hazrat e Abbas (a.s.) ka
Zainab (s.a.) e muztar ka sadqa aur Sakina (s.a.) ka shaha 
hal karo mushkil meri mushkil meri muskilkusha

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

hure janbaaze dilawar ki wila ka wasta 
jaan nisarane shaheede karbala ka wasta 
meri qismat ko bhi chamka dijiye shahe hua

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

wasta Zainuliba (a.s.) ka aur Baqir (a.s.) ka shaha
Akbar (a.s.) o Asghar (a.s.) ka sadqa ai shahe har dosra
is mareeze la dawa ko dijiye maula shifa

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

Jafar e Sadiq (a.s.) ka sadqa aur kazim (a.s.) ka shaha
ilteja main aap se karta hun ye behre khuda
mushkile aasan karo meri shahe khaibar kusha

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

Mehdi e deen (a.s.) ka tasadduq aaiye imdad ko
kab se chillata hai saael pahonchiye fariyad ko
hal ata ka wasta deta hun shahe la fatah

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

wasta Salman o Qambar ka shahe aali umam
aap ko sabro tahammul aur shujaat ki qasam
kaasae sahil ko bhar do aap hain behre sakha

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

ho dua khadim ki maqbul e ilahi ya Ali (a.s.)
dur ho Hasnain ke sadqe mein dil ki ye kali
laut kar jae na khali aap ke dar se gada

Multaji hun aap se mai ya Ali (a.s.) shere khuda
dur kr do meri mushkil ai mere mushkilkusha

Monday, August 13, 2018

Ya Fatema Abbas e dilawar ki qasam hai -Munajat lyrics


Ya Fatema (s.a.) Abbas (a.s.) e dilawar ki qasam hai
shashmahe mujahid Ali Asghar (a.s.) ki qasam hai
Ai binte nabi Qasim (a.s.) o Akbar (a.s.) ki qasam hai
Shabbeer (a.s.) ki aur Hazrat e Shabbar (a.s.) ki qasam hai

Masumae kaunain payambar(s.w.s.) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai

Mushkil me agar sahib e kashti ne pukara
grdab me bhi mil gaya hai usko sahara
har sahib e hajat pe hai ahsaan tumhara
meri bhi musibat ko karo dur khudara

Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai

Haq ne tumhe bakhsha hai ajab rutbae Aali
Saael na phira dar se tumhare kabhi khali
aae hain farishte bhi sada ban ke sawali
nuqsaan mera hota hai ab jaani o maali

Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai

Duniya ke masaib ne pareshaan kiya hai
fikron se meri ruh ko aazar laga hai
charkhe sitam ejaad ka vo teer laga hai
jis se dile majruh pareshaan hua hai

Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai

Dil par jo guzarti  hai bhala kis ko sunaaun
dar chod ke mai aapka kis simt ko jaaun
waaqif ho mere haal se kya haal bataun
aap aaein madad  ko to amaan ranj se paaun

Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai

Sadqe me nabi (s.w.s.) ke mujhe aafat se bacha lo
is daad o alam huron ko roze pe bula lo
talib hun madad ki mujhe roze pe bula lo
daste alam o ranj se ab mujh ko chuda lo

Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai



Tufaan ki khatarnaak hawaaon se bachana - munajat lyrics


Tufaan ki khatarnaak hawaaon se bachana
Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

tum aale nabi (s.w.s) ho tumhi aulaade Ali (a.s.) ho ,
waliyo ke wali ho ,waliyo ke wali ho
kya baat gharane ki hai kya paak gharana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

Maujon ke thapedo ne pareshaan kiya hai ,
tufaan bapa hai ,tufaan bapa hai
Tum ko magar aasan hai kinare se lagana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

    Shabbir (a.s.) ke sookhe hue honto ka tasadduq ,
Bachon ka tasadduq ,bachon ka tasadduq
Abbas Alamdar madad krne ko aana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

kya naam me taaseer hai Abbas (a.s.) tumhare
 koi bhi pukare, koi bhi pukare
Baba ki qasam uski madad krne ko aana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

Ai sher e ghazanfar khalafe saaqiye kausar
Abbas (a.s.) e dilawar, Abbas (a.s.) e dilawar
ai shere sharar bar tum hi sab ko bachana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

ai shere ilahi ke pisar nayyare taaban 
Ai mehre durakhshan, ai mehre durakhshan
mahe bani Hashim tum hi hum sab ko bachana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

Hai dushmano ne dosto ko aap ke ghera
 jld aaiye maula, jld aaiye maula
tum ko bhut aasan hai hum sb ko bachana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

Kaafir bhi gaya aap ke dar se nahi Khali
Ai Sayyad o Aali Ai Sayyado Aali
Hum ko na dare paak se mehrum phirana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majdhar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana

haathon ko bhateeji pe fida kr diya tumne 
maula tere sadqe, maula tere sadqe
vo kaam kiya tumne ke shahid hai zamana

Abbas(a.s.) Alamdar tabahi se bachana
Majhdar me kashti hai shaha paar lagana
Abbas(a.s.) Alamdaar tabahi se bachana









Dua lyrics


Ya Kirdgaar tujh ko payambar ka waasta
ya zuljalal Haider (a.s.) e Safdar ka waasta

Ya rab ba dard e pehlu e zakhmi Fatima (s.a.)
Mohsin ka aur Hazrate Shabbar (a.s.) ka waasta

Mazloom o tashnakaam o jigar khasta e ghareeb
yani Husain (a.s.) kushtao khanjar ka waasta

Qasim  ki Aun o Jafar o Abbas ki qasam
Akbar ka wasta Ali Asghar ka wasta

tha qaid be dawa o ghiza jo azeeze ghum
us aseer Abid e muztar ka wasta

rassi me jo bandha tujhe us haath ki qasam
balwe me jo khula tujhe us sar ka wasta

sadqa unhi labo ka jo be aab kushk the
jo aag se jala tujhe us ghar ka wasta

ruswai o malal o marz se gunah se
sab ko bachana tujh ko bahattar ka wasta

kar mustajab Shaukat nalaan ki ye dua
fariyaad aah Zainab o muztar ka wasta

Bheek lene aae hain - munajat Imam Husain (a.s.)



Ai nabi (s.w.s) waale Ali (a.s.) waale Khuda waale Husain(a.s.)
Bheek lene aae hain hum karbala vaale Husain(a.s.)

Ahle duniya aap ki azmat ko pa skte nahi
sahib e meraj ki aaghosh ke paale Husain (a.s.)

Saaniye Zahra (s.a.) ka sadqa waasta Sajjad (a.s.) ka
Ab khabar lijiye humari Karbala waale Husain (a.s.)

Waasta Abbas (a.s.) ka mashk o alam ka waasta
ab to sun lijiye humare dukh bhare naale Husain(a.s.)

Misle Hur mera bhi daaman e tahi bhar dijiye
ai sakhi ibne sakhi ai mere dil waale Husain (a.s.)

Jaora me aap hi ke dar ka khadim hai muhib
hai nigaah e lutfe laazim Karbala waale Husain (a.s.)

Ya Imame Zamaan (a.t.f.s.) - Munajat




ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye

Naao manjdhaar me hai meri us ko paar laga dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



behal karta hai laakhon salaam , phir adab se ye kehta ghulaam

faiz paata hai har khaaso aam , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



mere dil ko hai ek isteraab , ho shifa mujh ko ab dastiyaab

ab to lillah chale aaiye, meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



ab Muhammad ka hai waasta , aur Haider ka hai waasta 

phir hai zahra ka bhi waasta , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



aur Sakina ka hai waasta , pyaase Asghar ka hai waasta 

khune Sarwar ka hai waasta , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



aur Abbas (a.s.) ka waasta, bibi Zainab ka bhi waasta 

phir hai Narjis ka bhi waasta, meri bigdi bana dijiye



ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye






Munh Maangi Muraade -Munajat Hazrat Abbas (a.s.) lyrics



Saqqae Haram ke roze pe,dukh dard ke maare aae hain
Munh maangi muraadein paein ge,daaman ko pasare aae hain

Ai Aqde Kusha ke noore nazar , ai jaane wafa ai rashe qamar
ho jae idhar bhi chashme karam,gardish me sitaare aae hain

Zehra(s.a.) o nabi(s.w.s.) ke sadqe me,Hasnain(a.s.) o Ali(a.s.) ke sadqe me
kuch daal do ab to jholi me,hum dar pe tumhare aae hain

khairaat ata ho Zainab(s.a.) ki,mil jae Sakina(s.a.) ka sadqa 
hai waqt yhi jaan bakhshi ka,hum gor kinare aae hain

Bimari e Abid (a.s.) ka sadqa,bimare alam khai de do shifa
ai fakhre masiha roze pe,bimaar tumhare aae hain

har dil ki tamanna bar aae,har ek ko manzil mil jae
ye aas lga kr dur se hm,ai raaj dulare aae hain

duniya ne hme thukraya hai,duniya ne hme tarpaya hai 
tum do ge hume ye soch ke hm,taqdeer ke maare aae hain

kya de ge hme duniya waale,kya paas hai duniya waalon ke
hum thokarein dar dar ki kha,kr ab dar par tumhare aae hain

ab sun lo muhib ki behre khuda,taqdeer bana do ai aaqa
har kaam hai bigda gardish me, kismat ke sitaare aae hain

Saturday, August 11, 2018

Alamdaar (a.s.) aae hain , munajat Hazrat Abbas (a.s.) lyrics

Maula ki Baargaah me gunahgaar aae hain
ummeeddaar bar sare darbaar aae hain

mashhoor hain jahaan me mushkil kushaiyaan
Mushkil kushai kijiye talabgaar aae hain

un pyaare se bachochon ka deti hoon waasta
jin ke liye nehar pe alamdar(a.s.) aae hain

Akbar(a.s.) ka waasta Ali Asghar(a.s.) ka waasta 
jin se laeen bar sare paikaar aae hain

is sher dil jawaan ki jawani ka waasta
nehre furaat pe jo Alamdaar aae hain

daaman gule muraad se bhar dijiye Husain(a.s.)
ye teri baargah hai gunahgaar aae hain


Ya Hazrat e Abbas(a.s.) munajat lyrics




Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)

Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Ai Sarware Zee jaah Aali teri dargah
Haider ka hai tu maah hai sab ko teri chaah
Ummeed liye shah(a.s.) aaya hu tere paas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Laaya hoon mai fariyaad sun lo meri roodad
Rehta hoon mai naashad ghum se karo aazad
Har tarah khushi a baa jae mujhe raas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Kis se kahu aaqa koi nahi mera
 Mai ghum ka maara hoon koi nahi mera
Ab laut ke dar se jaaun na mai be aas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Ummul banni ke laal hai ye mera sawaal
Ghum se karo bahaal khushiyo se maala maal
Mushkil kusha(a.s.) ki jaan ya hazrate Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Shabbeer ke jaani maula ki nishani
Ai Haider e saani sun lijiye kahani
Milta nahi paani be had hai mujhe pyaas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Karbal ke alamdaar aaya hai gunahgaar]
Tufaan ki chali dhaar kashti karo ab paar
Saae me alam ke rakhna mujhe Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Be rozi ke mai yun kis tarah jiyoon
Qarze me ghira hoon ghum kb talak sahoo
Tum babul hawaaij ho, rozi mile Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Ai nehar ke waali tum sayyade Aali
Aaya hai sawaali jaae na ye khali
Bhra dijiye jholi, ya Hazrat e Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Islaam ki ho shaan imaan ki ho jaan
Tum waarise Quraan , hai ye mera Imaan
 Kya der hai aaqa hai sab tumhare paas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Vo Shabbar(a.s.) o Shabbir(a.s.) aur Akbar(a.s.) o Asghar(a.s.)
Vo Aabid(a.s.) e muztar aur Baqir(a.s.) o Jafar(a.s.)
In sab ka waseela, laaya hoon tere paas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Ya  Sahibe Alam jae kaha pe hum
Shabbir(a.s.)  ki qasam ho mujh pe ab karam
Mushkil ho meri hal ya Hazrat e Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Ho dur teergi mil jae raushni
Behre Taqi(a.s.) Naqi(a.s.) Musa(a.s.) o Askari(a.s.)
Behre Ali Reza(a.s.) ya Hazrate Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
                                 
Vo pyaasi Sakina (s.a) us ka tumhe sadqa
 Zainab(s.a.) ka waseela Laaya hoon maim aula
Sun lo meri maula jaaoon na khali haath

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Le lo mera salaam hoon aap ka ghulaam
Mushkil karo tamaam jeena hua haraam
Ho jald mera kaam kya der hai Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Girton ko sambhalo, marton ko bacha lo
Gardish se nikaalo be kas ko sambhalo
Roze pe bula lo tum Khizr(a.s.) tum iliyas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

Narjis ke laal ka, sadqa ho ab ata
Dil ki hai ye dua ho jld mojiza
Ghar jaaoon shad shad dar se terte Abbas(a.s.)

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas

 Ye haath ho mere daaman ho aap ka
 Lab per hai ye dua dil se hai muddoa
 Duniya me aap ka Baqir na ho udaas

Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas