Monday, August 13, 2018

Ya Imame Zamaan (a.t.f.s.) - Munajat




ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye

Naao manjdhaar me hai meri us ko paar laga dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



behal karta hai laakhon salaam , phir adab se ye kehta ghulaam

faiz paata hai har khaaso aam , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



mere dil ko hai ek isteraab , ho shifa mujh ko ab dastiyaab

ab to lillah chale aaiye, meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



ab Muhammad ka hai waasta , aur Haider ka hai waasta 

phir hai zahra ka bhi waasta , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



aur Sakina ka hai waasta , pyaase Asghar ka hai waasta 

khune Sarwar ka hai waasta , meri bigdi bana dijiye



Ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye



aur Abbas (a.s.) ka waasta, bibi Zainab ka bhi waasta 

phir hai Narjis ka bhi waasta, meri bigdi bana dijiye



ya imame zamaan (a.s.) aaiye , meri bigdi bana dijiye






No comments:

Post a Comment