Ya Fatema (s.a.) Abbas (a.s.) e dilawar ki qasam hai
shashmahe mujahid Ali Asghar (a.s.) ki qasam hai
Ai binte nabi Qasim (a.s.) o Akbar (a.s.) ki qasam hai
Shabbeer (a.s.) ki aur Hazrat e Shabbar (a.s.) ki qasam hai
Masumae kaunain payambar(s.w.s.) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
Mushkil me agar sahib e kashti ne pukara
grdab me bhi mil gaya hai usko sahara
har sahib e hajat pe hai ahsaan tumhara
meri bhi musibat ko karo dur khudara
Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
Haq ne tumhe bakhsha hai ajab rutbae Aali
Saael na phira dar se tumhare kabhi khali
aae hain farishte bhi sada ban ke sawali
nuqsaan mera hota hai ab jaani o maali
Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
Duniya ke masaib ne pareshaan kiya hai
fikron se meri ruh ko aazar laga hai
charkhe sitam ejaad ka vo teer laga hai
jis se dile majruh pareshaan hua hai
Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
Dil par jo guzarti hai bhala kis ko sunaaun
dar chod ke mai aapka kis simt ko jaaun
waaqif ho mere haal se kya haal bataun
aap aaein madad ko to amaan ranj se paaun
Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
Sadqe me nabi (s.w.s.) ke mujhe aafat se bacha lo
is daad o alam huron ko roze pe bula lo
talib hun madad ki mujhe roze pe bula lo
daste alam o ranj se ab mujh ko chuda lo
Masumae kaunain payambar(s.w.s) ki qasam hai
mushkil meri hal ho tumhe Haider(a.s.) ki qasam hai
No comments:
Post a Comment