ummeeddaar bar sare darbaar aae hain
mashhoor hain jahaan me mushkil kushaiyaan
Mushkil kushai kijiye talabgaar aae hain
un pyaare se bachochon ka deti hoon waasta
jin ke liye nehar pe alamdar(a.s.) aae hain
Akbar(a.s.) ka waasta Ali Asghar(a.s.) ka waasta
jin se laeen bar sare paikaar aae hain
is sher dil jawaan ki jawani ka waasta
nehre furaat pe jo Alamdaar aae hain
daaman gule muraad se bhar dijiye Husain(a.s.)
ye teri baargah hai gunahgaar aae hain
No comments:
Post a Comment