Saqqae Haram ke roze pe,dukh dard ke maare aae hain
Munh maangi muraadein paein ge,daaman ko pasare aae hain
Ai Aqde Kusha ke noore nazar , ai jaane wafa ai rashe qamar
ho jae idhar bhi chashme karam,gardish me sitaare aae hain
Zehra(s.a.) o nabi(s.w.s.) ke sadqe me,Hasnain(a.s.) o Ali(a.s.) ke sadqe me
kuch daal do ab to jholi me,hum dar pe tumhare aae hain
khairaat ata ho Zainab(s.a.) ki,mil jae Sakina(s.a.) ka sadqa
hai waqt yhi jaan bakhshi ka,hum gor kinare aae hain
Bimari e Abid (a.s.) ka sadqa,bimare alam khai de do shifa
ai fakhre masiha roze pe,bimaar tumhare aae hain
har dil ki tamanna bar aae,har ek ko manzil mil jae
ye aas lga kr dur se hm,ai raaj dulare aae hain
duniya ne hme thukraya hai,duniya ne hme tarpaya hai
tum do ge hume ye soch ke hm,taqdeer ke maare aae hain
kya de ge hme duniya waale,kya paas hai duniya waalon ke
hum thokarein dar dar ki kha,kr ab dar par tumhare aae hain
ab sun lo muhib ki behre khuda,taqdeer bana do ai aaqa
har kaam hai bigda gardish me, kismat ke sitaare aae hain
No comments:
Post a Comment