Nishane fauje payambar sajaya jata hai
shababe shere khuda yaad aaya jaata hai
Ali (a.s.) ka laal alam le chuka baraadar se
Sakina (s.a.) bibi ka saqqa sajaaya jaata hai
Alam mein mashk bandhi sab ki bandh gai ummeed
k ab piyaason ko paani pilaaya jaata hai
Haram mein ghere hue hain nabi ki aal sabhi
abhi to Aankhon se parcham lagaaya jaata hai
Khuda kare ke vo khaime mein kaamyaab aaein
badi ummeedon se pardah uthaaya jaata hai
Hawaaein zard pharaire ko le udein ran se
abhi furaat ki lehron pe chaaya jaata hai
Ali (a.s.) ka chaand Ali (a.s.) ka nishaan kya kehna
tamaam dasht e bala jagmagaaya jaata hai
Wo sher ghaat pe aaya wo mashk leke chala
wo naizaa baazon ke narghe mein aaya jaata hai
Ghata jo zore tasawwar badha Sakina (s.a.) ka
nazar mein phool sa chehra samaaya jaata hai
simat ke aai hain faujein ke raasta na mile
Ali (a.s.) ke chand pe badal sa chaaya jata hai
Jise lahu se bhi apna azeez samjha tha
laga ke teer vo paani bahaya jaata hai
Ummed qata hui ab sambhal nahi sakte
nishane fauje wafa thar tharaya jaata hai
kata ke haath tarai me so gae Abbas (a.s.)
Alam Husain (a.s.) ka khaime mein laaya jaata hai
kuch aisi shaan se Akbar (a.s.) utha ke laaye hain
ke jis tarah se janaaza uthaaya jaata hai
vo saamne hai Alam ki shabeeh najm utho
wafa parasti ka manzar dikhaaya jaata hai
No comments:
Post a Comment