Thursday, December 17, 2020

Pukara dil se kisi ne jahaan jahaan Abbas (a.s.) lyrics


Pukara dil se kisi ne jahaan jahaan Abbas (a.s.)
Madad ke waaste pohche wahaan wahaan Abbas (a.s.)

Hai farq itna faqat karbala o khaibar mein
wo maarka tha Ali (a.s.) ka lade yahaan Abbas (a.s.)

Sakina (s.a.) bibi se bachche ye ro ke kehte the
Alam nazar nahi aata gae kahan Abbas (a.s.)

Husain (a.s.) waalon pe itne hain meharbaan Abbas (a.s.)
Jahan Husain (a.s.) kaha aa gae wahaan Abbas (a.s.)

Alam ke saae me kehte chalo Husain (a.s.) Husain (a.s.)
khuda ke fazl se hain meer e karwaan Abbas (a.s.)

Ali (a.s.) ke laal ka kya kehna hai bahut mazlum
salaam shiyon ka tum par gae jahaan Abbas (a.s.)

zahe naseeb teri manzilat ka kya kehna
rasul (s.a.w.w.) zaadiyan hain teri noha khwan Abbas (a.s.) 

Wednesday, December 16, 2020

Nishane Fauje Payambar Sajaya Jaata Hai... (Alam Sajate waqt) Lyrics



 Nishane fauje payambar sajaya jata hai
shababe shere khuda yaad aaya jaata hai

Ali (a.s.) ka laal alam le chuka baraadar se
Sakina (s.a.) bibi ka saqqa sajaaya jaata hai

Alam mein mashk bandhi sab ki bandh gai ummeed
k ab piyaason ko paani pilaaya jaata hai

Haram mein ghere hue hain nabi ki aal sabhi
abhi to Aankhon se parcham lagaaya jaata hai

Khuda kare ke vo khaime mein kaamyaab aaein
badi ummeedon se pardah uthaaya jaata hai

Hawaaein zard pharaire ko le udein ran se
abhi furaat ki lehron pe chaaya jaata hai

Ali (a.s.) ka chaand Ali (a.s.) ka nishaan kya kehna
tamaam dasht e bala jagmagaaya jaata hai

Wo sher ghaat pe aaya wo mashk leke chala
wo naizaa baazon ke narghe mein aaya jaata hai

Ghata jo zore tasawwar badha Sakina (s.a.) ka
nazar mein phool sa chehra samaaya jaata hai

simat ke aai hain faujein ke raasta na mile
Ali (a.s.) ke chand pe badal sa chaaya jata hai

Jise lahu se bhi apna azeez samjha tha
laga ke teer vo paani bahaya jaata hai

Ummed qata hui ab sambhal nahi sakte
nishane fauje wafa thar tharaya jaata hai

kata ke haath tarai me so gae Abbas (a.s.)
Alam Husain (a.s.) ka khaime mein laaya jaata hai

kuch aisi shaan se Akbar (a.s.) utha ke laaye hain
ke jis tarah se janaaza uthaaya jaata hai

vo saamne hai Alam ki shabeeh najm utho
wafa parasti ka manzar dikhaaya jaata hai

Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w), written by Late Janab Salman Azmi, recited by Hashmi Sisters


Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.)
Ya Mustafa Ya Mustafa Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.)

Kya shaan hai, kya martaba
Salle Ala ya Mustafa

Quran mein rabbe ula, Yaseen kehta hai kabhi
Yaseen kehta hai kabhi, Quran mein rabbe ula
Taaha kahin lauho qalam, mehboobe rab mera nabi
Quran hai, mehwe sana
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2

Khaki tujhe kaise kahun, Quran mein jab hai likha
Quran mein jab hai likha, Khaki tujhe kaise kahun
takhleeqe awwal jab hui, noore Mohammad hai bana 
aur noor bhi, noore khuda
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2

Ek abd ko maabud ne, milne ko jab bulwa liya
milne ko jab bulwa liya, Ek abd ko maabud ne
lamhon me un tehreer mein, meraj hai likha gaya
sidra pe thi, bas ek sada
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2

tere gharane se mili, tauheed ko pehchaan hai
tauheed ko pehchaan hai, tere gharane se mili
mera nahi ye ba khuda, Allah ka farmaan hai
kyun na kahein, Akbar malak
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2

mera aqeeda jab kahin, pucha gaya mujhse kabhi
pucha gaya mujhse kabhi, mera aqeeda jab kahin
maine kaha mera khuda, uska nabi uska wasi
aur aal ko, shaamil kiya
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2

Salmaan mai kaise karu, auje nabi ka tazkira
auje nabi ka tazkira, Salmaan mai kaise karu
karte hai jab teri sana, saare malaik ambiya
hai madha khwaan, khud kibriya
Salle Ala, ya Mustafa (s.a.w.w.)
Salle Ala Salle Ala Salle Ala ya Mustafa (s.a.w.w.) -2
Kya shaan hai, kya martaba
Salle Ala ya Mustafa