Thursday, December 17, 2020

Pukara dil se kisi ne jahaan jahaan Abbas (a.s.) lyrics


Pukara dil se kisi ne jahaan jahaan Abbas (a.s.)
Madad ke waaste pohche wahaan wahaan Abbas (a.s.)

Hai farq itna faqat karbala o khaibar mein
wo maarka tha Ali (a.s.) ka lade yahaan Abbas (a.s.)

Sakina (s.a.) bibi se bachche ye ro ke kehte the
Alam nazar nahi aata gae kahan Abbas (a.s.)

Husain (a.s.) waalon pe itne hain meharbaan Abbas (a.s.)
Jahan Husain (a.s.) kaha aa gae wahaan Abbas (a.s.)

Alam ke saae me kehte chalo Husain (a.s.) Husain (a.s.)
khuda ke fazl se hain meer e karwaan Abbas (a.s.)

Ali (a.s.) ke laal ka kya kehna hai bahut mazlum
salaam shiyon ka tum par gae jahaan Abbas (a.s.)

zahe naseeb teri manzilat ka kya kehna
rasul (s.a.w.w.) zaadiyan hain teri noha khwan Abbas (a.s.) 

No comments:

Post a Comment